Wednesday, August 08, 2007

Dil Dil Pakistan...

Well... August is here and like every year, everyone's in the mood of celebrating the independence day. Though everywhere I can hear national songs, I'm reminded of this very poem of Faiz:

"Subh-e-Azaadi"

yeh daagh daagh ujala, yeh shab gazeeda sahar
woh intezaar tha jiska, yeh woh sahar tu nahin
yeh woh sahar tu nahin, jiski aarzo lay ker
chalay thay yaar ke mil jaye gi kahin na kahin
falak kay dasht mein taaron ki akhiri manzil
kahin tu hoga shab-e-sust mauj ka saahil
kahin tu ja kay rukay ga safina-e-gham-e-dil

jawan lahoo ki pur-asrar shahrahon say
chalay jo yaar tu daman pay kitne haath paray
diyaar husn ki bay sabar khwaab gaahon say
pukarti rahin baahein, badan bulatay rahay
bohot aziz thi lekin rukh-e-sahar ki lagan
bohot qareen tha haseenan-e-noor ka daman
subuk subuk thi tamanna, dabi dabi thi thakan

suna hai ho bhi chuka hai firaaq-e-zulmat-e-noor
suna hai ho bhi chuka hai wisaal-e-manzil-o-gaam
badal chuka hai bohot ahl-e-dard ka dastoor
nishaat-e-wasl halal-o- azaab-e-hijr haram
jigar ki aag, nazar ki umang, dil ki jalan
kisi pay chara-e-hijraan ka kuch asar hi nahin
kahan say aayi nigaar-e-saba, kidher ko gayi

abhi chiraagh-e-sar-e-rah ko kuch khabar hi nahin
abhi giraani-e-shab mein kami nahin aayi
nijaat-e-deeda-o-dil ki ghari nahin aayi
chalay chalo kay woh manzil abhi nahin aayi

No comments: